Sir maine lgbhg 2 saal pehle ek ladka rakha ha apni dkan par hah baane ke liye Pichle 6 mahine se sn


सवाल

Sir maine lgbhg 2 saal pehle ek ladka rakha tha apni dukan par hath batane ke liye. Pichle 6 mahine se usne mera vyapar kharab kar diya hai. Usne meri dukan mei jaalsazi karke bohot herapheri karke paisa banaya aur ab meri dukan ke aas paas apni dukan khol raha hai. Yaha tak to koi baat nahi thi par usne mere customers ko bhi meri bhadkakar mera business kharab kar diya hai, pichle 3 months se mera business kafi downfall par hai, ghar ka kharcha, dukan ka rent, car ki emi, ghar ki emi bhi bharna mushkil ho rha hai. Is karan mai bohot zyada depression mei hu. Yaha tak ki usne mujhe jaan se maarne ki dhamki bhi di hai. Mujhe samajh nahi aa rha ki kya karun, aur kaise bachaun apna business.

उत्तर (2)


93 votes

Sir agar aap yeh baat court me proof kar pao ya koi evidence ho ya koi cctv footage toh competition act ke according aur ipc ke under us naukar ke upar karyawahi ki ja sakti hai, in between ap police me ek complaint likh ke de baki police bhi apni taraf se investigation karegi


अस्वीकरण: उपर्युक्त सवाल और इसकी प्रतिक्रिया किसी भी तरह से कानूनी राय नहीं है क्योंकि यह LawRato.com पर सवाल पोस्ट करने वाले व्यक्ति द्वारा साझा की गई जानकारी पर आधारित है और LawRato.com में सिविल वकीलों में से एक द्वारा जवाब दिया गया है विशिष्ट तथ्यों और विवरणों को संबोधित करें। आप LawRato.com के वकीलों में से किसी एक से प्रतिक्रिया प्राप्त करने के लिए अपने तथ्यों और विवरणों के आधार पर अपनी विशिष्ट सवाल पोस्ट कर सकते हैं या अपनी सवाल के विस्तार के लिए अपनी पसंद के वकील के साथ एक विस्तृत परामर्श बुक कर सकते हैं।


भारत के अनुभवी सिविल वकीलों से सलाह पाए


सिविल कानून से संबंधित अन्य प्रश्न